HAZRAT MEHMOOD JAAN KHAN Radi’Allahu Ta’ala Anho.

 

Alqaab
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aalim-e-Jaleel, Faazil-e-Nabeel, Haami-e-Sunan, Maahi-e-Fitan.

Aap ki wilaadat 1235 Hijri (1820 A.D.) mein Peshawar mein huwi.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Allama Haafiz Gulam Rasool bin Muhammad Ismail رضي الله عنه hai, Aapne apne waalid se taalim haasil ki.

Is ke baad aap Jamjodhpur  (Gujarat) tashreef laaye aur wahi qayaam karke poori zindagi Isha’at e Islaam aur taleem e deen karte rahe.

Aap hamesha Sunnat e Rasool ﷺ par amal karte the aur logoñ ko haq baat samjha kar shari’at par amal ki taaleem dete the.

Bahot saare Nasraaniyoñ ne aap se munaazare ke baad apni haar maankar aap ke qadam chum liye the.

Aap ne Aala Hazrat رضي الله عنه ke mazaar ke gumbad ka naqsha banakar diya jo Hujjat-ul-Islaam, Mufti-e-aazam-e-Hind, Sadr-ush-Shariah رضي الله عنهم aur deegar ulema ko bhi pasand aaya.

Hazrat Maulana Zia-ud-deen sahab Pilibhiti رضي الله عنه ke shaaye karda ‘Tauf-e-Hanafiyah’ naami Risaala jadeeda (Magazine) mein aapne Aala Hazrat رضي الله عنه ke baare mein padha.
Aap Bareilly shareef tashreef le gaye aur baargaah e Aala Hazrat mein pahunche, aur Aala Hazrat رضي الله عنه ke mureed huwe. Is ke baad A’ala Hazrat رضي الله عنه aapko apne ghar par le gaye aur unho ne jo Kurta, Sadri, Paaijaama aur Amaama pehna tha wo ata farmaaya.

1339 Hijri (1921 A.D.) mein Aala Hazrat رضي الله عنه ne aapko likhe huwe ek khat mein aap ko ‘Haami-e-Sunan aur Maahi-e-Fitan’ se mukhaatib kiya tha.

Aap kisiko apna mureed nahi banate the, jabh koi bai’at ke liye aata to aap use Aala Hazrat رضي الله عنه ki baargaah mein bhej dete the.

Aala Hazrat رضي الله عنه ke wisaal ke baad aap unke mazaar par gaye tabh aap ne Aala Hazrat رضي الله عنه ke waseele se dua ki “Allah Ta’ala mujhe ek beta ata farmae.’ Aur ussi saal Allah Ta’ala ne aap ko beta ata farmaaya. Aap apne is farzand ko kabhi uske naam se nahi bulaate magar Hazrat keh kar pukaarte.

Aap ki likhi mashoor kitaaben :

1- Zikr-e-Raza
2- Eezah-e-Sunnat.

Aap Surah al-Quraish ki tilaawat karna pasand karte the aur farmaate the ke ‘Is Surah ki tilaawat karne se ghar mein barkat naazil hoti hai.’ Aap kisi cheez ko farokht karni hoti tabh 7 martaba is Surah ki tilaawat karke us par dam kar lete the. Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1)  Ek baar Muhammad naam ke ek ladke ko khasra (German measles) ki beemaari huwi. Tabeeboñ ne bataaya ke ‘Iske theek hone ki koi ummeed nahi.’ Jabh Hazrat ko pata chala to aap uske ghar par tashreef le gaye aur ladke ke waalidaiñ ko bulaaya aur farmaaya ‘Mujhe pehle kyu nahi bataaya?’ Phir aapne apna luab e dahen (thoonk) uske badan par laga diya aur us ke liye dua ki. Allah Ta’ala ke fazl se woh ladka bilkul tandrust ho gaya aur usne poori zindagi tandrusti ke saath basar ki.

(2) Ek baar ek shakhs ko us ki waalida Hazrat ki baargaah mein laai aur arz kiya ke ‘Is ke andar jinn hai jo bahot pareshaan karta hai. Aap karam farmaaiye aur is jinn se humeiñ naja’at dilaaiye.’ Aap ne farmaaya ‘Iske liye tumhe apne bete ko zor se peetna hoga jabh tak woh jinn isse chordh kar baahar na aa jaaye. Albatta tumhare bete ko kuch dard nahi hoga.’ Woh aurat iske liye tayyar ho gayi. Usne apne bete ko bahot zor se peetna shuru kiya yahañ tak ke uske badan se khoon jaari ho gaya.’ Aakhirkaar wo jinn us ladke ko chord kar jaane ke liye maan gaya. Hazrat ne usse ek badi botal mein band kiya aur zameen mein ek khadda khod kar us botal ko us mein dafn kar diya.

Aap Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan ke mureed aur khalifa haiñ.

Aakhri saaloñ mein aapko diabetes ki beemaari ho gayi thi.

Wisaal ke din aap subah ko jaldi uth gaye aur apne saahabzaade Maulana Gulam Ahmad Raza ko paak saaf karne ke liye farmaaya aur aap ki ahalya ko bistar paak saaf karke nayi chaadar lagaane ke liye farmaaya. Phir aapne apne saahabzaade ko paak ho kar Surah Yaseen ki tilaawat karne ke liye farmaaya. Jabh Maulana Gulam Ahmad Raza waapas aaye to dekha ke Hazrat Surah Yaseen ki tilaawat kar chuke the.

Jabh Dhora se Shah Sahab tashreef laaye to aap ne unheiñ aur Maulana Gulam Ahmad Raza ko bataaya ke ‘Mujhe khwaab me Huzoor Nabi e kareem ﷺ ki aur Aala Hazrat رحمة الله تعالى عليه ki ziyarat ki sa’adat haasil huwi aur unhone mujhse farmaaya ke tumheiñ hamare paas aana hai.’
Phir aap ne Shah Sahab se aapko doosre kamre mein le jaane ke liye farmaaya aur apne tamaam farzand ko bistar ke qareeb khade hone ke liye farmaya. Phir aap ne sab se farmaaya ke ‘Mujhe jee bhar ke dekh lo ke mere wisaal ka waqt kareeb hai’ Phir aap ne sab ke liye dua farmai.
Jabh aap ne dekha ke sabh ro rahe hai to aapne farmaaya ke ‘Tum sabh yeh mat socho ke maiñ tumhe chordh kar ja raha hu. Maiñ to sirf ek maqaam se doosre maqaam par inteqaal kar raha hu.’
Phir aap ne farmaaya ‘Meri almaari mein ek kitaab mein taaweez rakhe hai woh falaañ shakhs ko de dena.’
Phir aap ne kaha ke ‘Beemaari ke sabab mere 3 Roze aur chand namaazen qaza huwi hai. Jin ke kaffaare ka fidya ada kar dena.’
Phir aap ne Maulana Abdul Qaadir ko namaaz e janaaza padhaane ki wasiyat farmayi.

Phir Kalma e shahaadat padha aur Zohar ki azaan se pehle inteqaal farmaaya

Phir Kalma e shahaadat padha aur Zohar ki azaan se pehle inteqaal farmaaya.

Aap ka wisaal 3 Safar 1370 Hijri (14 October 1950 A.D.) ko 130 saal ki umr mein huwa.

Aap ka mazaar Jamjodhpur (Gujarat) mein hai.

 

Bahut kam log jaante hain ki Hazrat mawlana mahmood jaan (Alyhir Rahma) ne Sayyidi Alahazart (Alyhir Rahma) ke gumbad ka naksha(design) banaya tha.
Hazrat mawlana jaan (Alyhir Rahma) ne ye naqsha (jo ki machis ki jali hui teeliyon se banaya tha kyunki unke pass pen nahi tha) banakar Hujjatul Islam (Alyhir Rahma) aur Mufti Azam hind (Alyhir Rahma) ko dikhaya aur kaha:-

“Huzoor Aaqa e do Alam Sallallahu Alyhi wasallam ke gumbade khazra ke barabar wale minar ka naqsa(design) safed aur kaale rang ka hai,
kyunki Alahazrat ne apni poori zindagi sarkaar Sallallahu Alyhi wasallam ke dushmano ke khilaaf jang karke sarkaar sallallahu Alyhi wasallam ki azmat ki wazahat karne ki koshish ki hai,isliye mein chahta hun ki Alahazrat ka gumbad us kaale aur safed nakshe me hona chahiye jo Madni Aaqa Sallallahu Alyhi wasallam ke gumbad ke barabar wale minar ka hai.

Hujjatul islam,mufti-e- azam , Sadr as Shari’ah aur us wakht ke bade bade Ulema E kiraam (alayhim ar rahmah) ne iss nakhse ko pasand kiya aur sabne faisla kiya ki yeh naksha Dargah AlaHazrat ke liye sabse behtareen hai.Hazrat maulana mehmood jaan (alayhir rahmah), ne un dino 10,000 rupay dekar Gumbad ki tameer me hissa liya, aur jab tak Gumabad ka tameeri kaam mukammal na ho gya app ka qayaam Bareilly Shareef hi raha.

Hazrat ka kehna tha:-

“Jaisa yeh Mujjaddid Anokha, waisa unka Mazaar bhi Anokha hona chahiye”.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *