Choote na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Hai tum pe fida sab tan mann dhan Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Ajmer mujhe pahochaade Khuda Chaadar mai charaahu phoolo ki
Yeh sadqa karu tan mann apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Choote na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Farzande Ali ho Noor e Nabi Mehboob e Khuda hain zaat teri
Ek baar dikha Rauza Apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Choote na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Kaaba ho Madinaho ya Najaf har sampt nazar tum aate ho
Kuch aisi lagi hai tum se lagan Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Choote na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Waliyon ke wali ho tum Khwaja Aur ibne sakhi ho tum Khwaja
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Choote na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Aqaa ki atah woh Noor e Ali Zahrah ki kali waliyo ke wali
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan Ya Khwaja Moinuddin Hasan
Choote na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan
(Rehmatullahu Alaih )